Adeel Shakir

har ek uThan ke lakhon hain imtihan miyan

Adeel Shakir

har ik uThān ke lākhoñ haiñ imtihān miyāñ
pukārtā hai parindoñ ko āsmān miyāñ
nikalnā paḌtā hai āḳhir ko apne andar se
vahāñ bhī miltī nahīñ mustaqil amaan miyāñ
hai kārḳhāna tavahhum kā ye ba-qaul-e-'mīr'
so jānte haiñ yaqīñ ko bhī ham gumān miyāñ
thā is se pahle bhī koī makīn-e-dil apnā
aur is ke baad bhī ḳhālī nahīñ makān miyāñ
ye aur baat ki jismoñ ke bhī taqāze the
ham us kī jaan the aur vo hamārī jaan miyāñ
haiñ go ki ham bhī tire ḳhair-ḳhvāh par 'shākir'
ye kab kahā ki hamārī hī baat maan miyāñ
Top Urdushayar.com