achchhe mausam meñ tag-o-tāz bhī kar letā huuñ
par nikal aate haiñ parvāz bhī kar letā huuñ
tujh se ye kaisā ta.alluq hai jise jab chāhūñ
ḳhatm kar detā huuñ āġhāz bhī kar letā huuñ
ġhumbad-e-zāt meñ jab gūñjne lagtā huuñ bahut
ḳhāmushī toḌ ke āvāz bhī kar letā huuñ
yuuñ to is habs se mānūs haiñ sāñseñ merī
vaise dīvār meñ dar baaz bhī kar letā huuñ
sab ke sab ḳhvāb maiñ taqsīm nahīñ kar detā
ek do ḳhvāb pas-andāz bhī kar letā huuñ