Anjum Saleemi

charagh hath mein ho to hawa musibat hai

Anjum Saleemi

1963
charāġh haath meñ ho to havā musībat hai
so mujh marīz-e-anā ko shifā musībat hai
sahūlateñ to mujhe raas hī nahīñ ātīñ
qubūliyat kī ghaḌī meñ duā musībat hai
uThā.e phirtā rahā maiñ bahut mohabbat ko
phir ek din yūñhī sochā ye kyā musībat hai
maiñ aaj Duub chalā ret ke samundar meñ
chahār-samt ye raqs-e-havā musībat hai
ḳhud-āgahī kā jo mujh par nuzūl jaarī huā
maiñ kyā kahūñ ki ye rahmat hai yā musībat hai
bahut jachā hai ye be-dāġh pairahan mujh par
go ḳhāk-zād ko aisī qabā musībat hai
maiñ kam hī rahtā huuñ 'anjum' ḳhudā kī sohbat meñ
gunāhgār ko ḳhauf-e-ḳhudā musībat hai
Top Urdushayar.com