falak-nazhād sahī sar-nigūñ zamīñ pe thā maiñ
jabīn ḳhaak pe thī aur mirī jabīñ pe thā maiñ
guñdhī paḌī thī mirī ḳhaak ḳhāl-o-ḳhad ke baġhair
abhī humaktā huā chāk-e-avvalīñ pe thā maiñ
ye tab kī baat hai jab kun nahīñ kahā gayā thā
kahīñ kahīñ pe ḳhudā thā kahīñ kahīñ pe thā maiñ
nayā nayā maiñ nikālā huā thā jannat se
zamīñ banā.ī ga.ī jin dinoñ yahīñ pe thā maiñ
ḳhudā kā hukm bajā bad-gumānī apnī jagah
ġhalat na thā mirā inkār is yaqīñ pe thā maiñ
ḳhudā ke jhagḌe meñ āḳhir dimāġh haar gayā
ki dil sabāt meñ thā aur nahīñ nahīñ pe thā maiñ