Anjum Saleemi

ye mohabbat ka jo ambar paDa hai mujh mein

Anjum Saleemi

1963
ye mohabbat kā jo ambār paḌā hai mujh meñ
is liye hai ki mirā yaar paḌā hai mujh meñ
chhīñT ik uḌ ke mirī aañkh meñ aa.ī to khulā
ek dariyā abhī tah-dār paḌā hai mujh meñ
merī peshānī pe us bal kī jagah hai hī nahīñ
sabr ke saath jo hamvār paḌā hai mujh meñ
har ta.alluq ko mohabbat se nibhā letā hai
dil hai yā koī adākār paḌā hai mujh meñ
merā dāman bhī koī dast-e-havas khīñchtā hai
ek merā bhī ḳharīdār paḌā hai mujh meñ
kis ne ābād kiyā hai mirī vīrānī ko
ishq ne? ishq to bīmār paḌā hai mujh meñ
mere uksāne pe maiñ ne mujhe barbād kiyā
maiñ nahīñ merā gunahgār paḌā hai mujh meñ
mashvara lene kī naubat hī nahīñ aa paatī
ek se ek samajhdār paḌā hai mujh meñ
ai barābar se guzarte hue dukh tham to sahī
tujh pe rone ko azā-dār paḌā hai mujh meñ
merā honā mire hone kī gavāhī to nahīñ
mere aage mirā inkār paḌā hai mujh meñ
bhuuk aisī hai ki maiñ ḳhud ko bhī khā saktā huuñ
kaisā ye qaht lagātār paḌā hai mujh meñ
Top Urdushayar.com