Anjum Saleemi

hawa ka taKHt bichhata hun raqs karta hun

Anjum Saleemi

1963
havā kā taḳht bichhātā huuñ raqs kartā huuñ
badan charāġh banātā huuñ raqs kartā huuñ
maiñ baiTh jaatā huuñ takiya lagā ke bātin meñ
ḳhud apnī bazm sajātā huuñ raqs kartā huuñ
zamīn hāñpne lagtī hai ik jagah ruk kar
maiñ us kā haath baTātā huuñ raqs kartā huuñ
mirā surūr mujhe khīñchtā hai apnī taraf
maiñ apne-āp meñ aatā huuñ raqs kartā huuñ
maiñ jāntā huuñ mujhe kaise shānt honā hai
kaho to ho ke dikhātā huuñ raqs kartā huuñ
mirī misāl dhuāñ hai bujhe charāġhoñ kā
jab apnā sog manātā huuñ raqs kartā huuñ
ajiib lahr sī 'anjum' mire ḳhamīr meñ hai
jise vajūd meñ laatā huuñ raqs kartā huuñ
Top Urdushayar.com