zuhūr-e-kashf-o-karāmāt meñ paḌā huā huuñ
abhī maiñ apne hijābāt meñ paḌā huā huuñ
mujhe yaqīñ hī nahīñ aa rahā ki ye maiñ huuñ
ajab tavahhum o shub.hāt meñ paḌā huā huuñ
guzar rahī hai mujhe rauñdtī huī duniyā
qadīm o kohna rivāyāt meñ paḌā huā huuñ
bachāo kā koī rasta nahīñ bachā mujh meñ
maiñ apne ḳhāna-e-shah-māt meñ paḌā huā huuñ
maiñ apne dil pe bahut zulm karne vaalā thā
so ab jahān-e-makāfāt meñ paḌā huā huuñ