umr kī saarī thakan laad ke ghar jaatā huuñ
raat bistar pe maiñ sotā nahīñ mar jaatā huuñ
akasr auqāt bhare shahr ke sannāTe meñ
is qadar zor se hañstā huuñ ki Dar jaatā huuñ
mujh se pūchhe to sahī ā.īna-ḳhāna merā
ḳhāl-o-ḳhad le ke maiñ hamrāh kidhar jaatā huuñ
dil Thahar jaatā hai bhūlī huī manzil meñ kahīñ
maiñ kisī dūsre raste se guzar jaatā huuñ
sahmā rahtā huuñ bahut halqa-e-ahbāb meñ maiñ
chaar dīvār meñ aate hī bikhar jaatā huuñ
mere aane kī ḳhabar sirf diyā rakhtā hai
maiñ havāoñ kī tarah ho ke guzar jaatā huuñ
maiñ ne jo apne ḳhilāf aap gavāhī dī hai
vo tire haq meñ nahīñ hai to mukar jaatā huuñ