jast bhartā huā fardā ke dahāne kī taraf
jā nikaltā huuñ kisī aur zamāne kī taraf
aañkh bedār huī kaisī ye peshānī par
kaisā darvāza khulā ā.īna-ḳhāne kī taraf
ḳhud hī anjām nikal aa.egā is vāqiye se
ek kirdār ravāna hai fasāne kī taraf
hal nikaltā hai yahī rishtoñ kī mismārī kā
log aa jaate haiñ dīvār uThāne kī taraf
darmiyāñ tez havā bhī hai zamāna bhī hai
tiir to chhoḌ diyā maiñ ne nishāne kī taraf
ek bichhḌī huī āvāz bulātī hai mujhe
vaqt ke paar se gum-gashta Thikāne kī taraf