sahar ko khoj charāġhoñ pe inhisār na kar
havā se dostī rakh us kā e'tibār na kar
yaqīn kar o mohabbat yahī munāsib hai
ziyāda din mirī sohbat ko iḳhtiyār na kar
ye koī rishta nahīñ hai faqat nadāmat hai
tū mujh se umr meñ kam hai so mujh se pyaar na kar
mujhe pata hai ki barbād ho chukā huuñ maiñ
tū merā sog manā mujh ko sogvār na kar
hai kaun kaun mire saath is musībat meñ
maiñ apne saath nahīñ huuñ mujhe shumār na kar
maiñ ḳhaak ḳhud tujhe labbaik kahne vāloñ meñ
mujhe bulāvā na de merā intizār na kar