Anjum Saleemi

main KHud ko mismar kar ke malba bana raha hun

Anjum Saleemi

1963
maiñ ḳhud ko mismār kar ke malba banā rahā huuñ
yahī banā saktā huuñ lihāzā banā rahā huuñ
kisī ke siine meñ bhar rahā huuñ maiñ apnī sāñseñ
kisī ke katbe ko apnā katba banā rahā huuñ
bahut bhalī lagtī hai use bhī mirī udāsī
ḳhushī ḳhushī ḳhud ko dil-girafta banā rahā huuñ
hujūm ko mere qahqahoñ kī ḳhabar nahīñ hai
banā huā huuñ ki maiñ tamāshā banā rahā huuñ
har ek chehre pe ḳhāl-o-ḳhad kī numā.isheñ haiñ
maiñ ḳhāl-o-ḳhad ke baġhair chehra banā rahā huuñ
khulī huī hai jo koī āsān raah mujh par
maiñ us se haT ke ik aur rasta banā rahā huuñ
falak se uupar bhī ek chhat hai zamīn aisī
falak ke us paar ek ziina banā rahā huuñ
mirī tavajjoh bas ek nuqte pe murtakiz hai
maiñ apnī quvvat ko ek zarra banā rahā huuñ
Top Urdushayar.com