ḳhaak chhānī na kisī dasht meñ vahshat kī hai
maiñ ne ik shaḳhs se ujrat pe mohabbat kī hai
ḳhud ko dhutkār diyā maiñ ne to is duniyā ne
merī auqāt se baḌh kar mirī izzat kī hai
jī meñ aatā hai mirī mujh se mulāqāt na ho
baat milne kī nahīñ baat tabī.at kī hai
ab bhī thoḌī sī mire dil meñ paḌī hai shāyad
zard sī dhuup jo dīvār se ruḳhsat kī hai
aaj jī bhar ke tujhe dekhā to mahsūs huā
aañkh ne sūra-e-yūsuf kī tilāvat kī hai
haal pūchhā hai mirā poñchhe haiñ aañsū mere
shukriya tum ne mire dard meñ shirkat kī hai