Anjum Saleemi

dard-e-wirasat pa lene se nam nahin chal sakta

Anjum Saleemi

1963
dard-virāsat pā lene se naam nahīñ chal saktā
ishq meñ baabā ek janam se kaam nahīñ chal saktā
bahut dinoñ se mujh meñ hai kaifiyyat rone vaalī
dard-e-farāvāñ siine meñ kohrām nahīñ chal saktā
tohmat-e-ishq munāsib hai aur ham par jachtī hai
ham aisoñ par aur koī ilzām nahīñ chal saktā
cham cham karte husn kī tum jo ashrafiyāñ laa.e ho
is mīzān meñ ye duniyāvī daam nahīñ chal saktā
aañkh jhapakne kī mohlat bhī kam miltī hai 'anjum'
faqr meñ koī tan-āsāñ do-gām nahīñ chal saktā
Top Urdushayar.com