sab ko apne zehan se jhaTkā ḳhud ko yaad kiyā
lekin aisā sab kuchh luT jaane ke ba.ad kiyā
us ko us kī apnī qurbat ne sarshār rakkhā
mujhe to shāyad mere hijr ne hī barbād kiyā
maiñ bhī ḳhālī ho kar apne ghar lauT aayā huuñ
us ne bhī ik vīrāne ko jā ābād kiyā
kis shafqat meñ guñdhe hue maulā maañ baap diye
kaisī pyārī rūhoñ ko merī aulād kiyā
ishq meñ 'anjum' le Duubī hai thoḌī sī tāḳhīr
janmoñ pahle jo vājib thā vo mā-bād kiyā