Anjum Saleemi

saKHt mushkil mein kiya hijr ne aasan mujhe

Anjum Saleemi

1963
saḳht mushkil meñ kiyā hijr ne āsān mujhe
dūsrā ishq huā pahle ke daurān mujhe
tere andar kī udāsī ke mushābah huuñ maiñ
ḳhāl-o-ḳhad se nahīñ āvāz se pahchān mujhe
ajnabī shahr meñ ik luqme ko tarsā huā maiñ
mezbāñ jismoñ ne samjhā nahīñ mehmān mujhe
ek hī shakl ke sab chehre the lekin phir bhī
ek chehre ne to behad kiyā hairān mujhe
maiñ mohabbat bhī mohabbat ke evaz detā huuñ
phir bhī ho jaatā hai is kaam meñ nuqsān mujhe
bhūle-bisre kisī naġhme kī sī shādāb āvāz
raat kānoñ meñ paḌī kar ga.ī sunsān mujhe
jaane kab sauñp duuñ miTTī ko ye miTTī kā qafas
jaane kab denā paḌe ruuh kā tāvān mujhe
Top Urdushayar.com