Anjum Saleemi

kaghaz tha main diye pe mujhe rakh diya gaya

Anjum Saleemi

1963
kāġhaz thā maiñ diye pe mujhe rakh diyā gayā
ik aur martabe pe mujhe rakh diyā gayā
ik be-badan kā aks banāyā gayā huuñ maiñ
be-āb ā.īne pe mujhe rakh diyā gayā
kuchh to khiñchī khiñchī sī thī saa.at visāl kī
kuchh yuuñ bhī fāsle pe mujhe rakh diyā gayā
muñh-māñge daam de ke ḳharīdā aur us ke baad
ik ḳhaas zāviye pe mujhe rakh diyā gayā
kal raat mujh ko chorī kiyā jā rahā thā yaar
aur mere jāgne pe mujhe rakh diyā gayā
achchhā bhalā paḌā thā maiñ apne vajūd meñ
duniyā ke rāste pe mujhe rakh diyā gayā
pahle to merī miTTī se mujh ko kiyā charāġh
phir mere maqbare pe mujhe rakh diyā gayā
'anjum' havā ke zor pe jaanā hai us taraf
paanī ke bulbule pe mujhe rakh diyā gayā
Top Urdushayar.com