is se aage to bas lā-makāñ rah gayā
ye safar bhī mirā rā.egāñ rah gayā
ho ga.e apne jismoñ se bhī be-niyāz
aur phir bhī koī darmiyāñ rah gayā
raakh poroñ se jhaḌtī ga.ī umr kī
saañs kī nāliyoñ meñ dhuāñ rah gayā
ab to rasta batāne pe māmūr huuñ
be-hadaf tiir thā be-kamāñ rah gayā
jab palaT hī chale ho ai dīda-varo
mujh ko bhī dekhnā maiñ kahāñ rah gayā
miT gayā huuñ kisī aur kī qabr meñ
merā katba kahīñ be-nishāñ rah gayā