phir ulajhte haiñ vo gesū kī tarah
phir kajī par haiñ vo abrū kī tarah
shahr-e-vahshat meñ kahāñ ghar kaisā
dasht meñ rahte haiñ aahū kī tarah
husn aur ishq ko aao tauleñ
donoñ āñkhoñ se tarāzū kī tarah
mujh ko āñkhoñ meñ jagah do chande
phir girā dījiyo aañsū kī tarah
na kahūñgā ki sañvāro zulfeñ
phir ulajh jā.eñge gesū kī tarah
ai 'saḳhī' phirtī hai kis ḳhaal kī shakl
sāmne aañkh ke bichchhū kī tarah