Mushtaq Aazar Fareedi

shahkar-e-husn-e-fitrat sazishon mein baT gaya

Mushtaq Aazar Fareedi

shāhkār-e-husn-e-fitrat sāzishoñ meñ baT gayā
ā.īna TuuTā to chehra ā.inoñ meñ baT gayā
raat maqtal meñ ḳhudā jaane vo kis kā qatl thā
jo tabarruk ban ke saare qātiloñ meñ baT gayā
maiñ kitāb-e-zindagī kā ek lafz-e-mustaqil
vaqt ne tashrīh kī to hāshiyoñ meñ baT gayā
laakh ab duniyā manā.e us kā jashn-e-irtikāz
vo to reza reza saare dostoñ meñ baT gayā
lamha lamha joḌ kar auroñ ko sadiyāñ baḳhsh diiñ
ḳhud sadī kā qatl kar ke sā.atoñ meñ baT gayā
us ke baare meñ ye andāza bhī lag saktā nahīñ
us ne kitne ġham sahe kitne dukhoñ meñ baT gayā
chand qatre us kī āñkhoñ meñ mile 'āzar' magar
vo samundar ban ke sab pyāse gharoñ meñ baT gayā
Top Urdushayar.com