apne hī bhaa.ī ko ham-sāya banāte kyuuñ ho
sahn ke beach meñ dīvār lagāte kyuuñ ho
ik na ik din to unheñ TuuT bikharnā hogā
ḳhvāb phir ḳhvāb haiñ ḳhvāboñ ko sajāte kyuuñ ho
kaun suntā hai yahāñ kaun hai sunñe vaalā
ye samajhte ho to āvāz uThāte kyuuñ ho
ḳhud ko bhūle hue guzre haiñ zamāne yaaro
ab mujhe tum mirā ehsās dilāte kyuuñ ho
apne chehroñ pe jo ḳhud aap hī patthar pheñkeñ
aise logoñ ko tum ā.īna dikhāte kyuuñ ho
apnī taqdīr hai tūfānoñ se laḌte rahnā
ahl-e-sāhil kī taraf haath baḌhāte kyuuñ ho