Mushtaq Aazar Fareedi

main sozish-e-gham-e-dauran se yun jala KHamosh

Mushtaq Aazar Fareedi

maiñ sozish-e-ġham-e-daurāñ se yuuñ jalā ḳhāmosh
ki jaise bazm meñ jaltā ho ik diyā ḳhāmosh
ye aur baat ki hoñToñ pe lafz bikhre the
magar thā bolne vāloñ kā mudda.ā ḳhāmosh
abhī na chheḌiye ḳhvābīda mausamoñ kā mizāj
abhī hai raat ke āñchal meñ har fazā ḳhāmosh
mirī sarisht meñ ḳhāmoshiyoñ kā zahar na ghol
na rah sakegā mirā zauq-e-haq-navā ḳhāmosh
badan kī qaid meñ chīḳheñ na ghuT ke mar jaa.eñ
sisakte karb ko kyuuñ tum ne kar diyā ḳhāmosh
lahaktī aañkh dhaḌakte diloñ ke paas na lā
guzar na jaa.e kahīñ koī hadisā ḳhāmosh
har ek samt hai bikhrā huā sukūt 'āzar'
idhar haiñ devtā patthar udhar ḳhudā ḳhāmosh
Top Urdushayar.com