fāsla jab mujhe ehsās-e-thakan baḳhshegā
paañv ko phuul bhī kāñToñ kī chubhan baḳhshegā
kitne sūraj isī jazbe se ugaa.e maiñ ne
koī sūraj to mere ghar ko kiran baḳhshegā
chāhtā huuñ ki kabhī mujh ko bhī bistar ho nasīb
jaane kis roz ḳhudā mujh ko badan baḳhshegā
log kahte haiñ ki sahrā ko gulistāñ kah do
us ke badle meñ vo chāñdī ke saman baḳhshegā
be-libāsī kā kareñ bhī to gilā kis se kareñ
zinda lāshoñ ko yahāñ kaun kafan baḳhshegā
sirf do-chār daraḳhtoñ pe qanā.at kaisī
vo sakhī hai to mujhe saarā chaman baḳhshegā
chhīn kar mujh se vo lamhoñ kī latāfat 'āzar'
zehn-e-āsūda ko sadiyoñ kī thakan baḳhshegā