Mushtaq Aazar Fareedi

log baiThe hain yahan hathon mein KHanjar le kar

Mushtaq Aazar Fareedi

log baiThe haiñ yahāñ hāthoñ meñ ḳhanjar le kar
tum kahāñ aa ga.e ye shāḳh-e-gul-e-tar le kar
bhīge bhīge se mire ghar ke dar-o-bām mile
shāyad aayā thā yahāñ koī samundar le kar
ab mujhe aur kisī shai kī tamannā na rahī
mutma.in huuñ tirī dahlīz kā patthar le kar
merī qismat meñ sulagne ke sivā kuchh bhī nahīñ
kyā karoge bhalā tum merā muqaddar le kar
ḳhushk hoñToñ ne mire jism kā ras chuus liyā
ab koī aa.e to kyā fā.eda sāġhar le kar
sīdhe raste koī aatā hī nahīñ merī taraf
gardish-e-vaqt bhī aatī hai to chakkar le kar
apne dil ko na kare ab koī halkā 'āzar'
varna maiñ jā.ūñgā ik bojh sā dil par le kar
Top Urdushayar.com