Sakhi Lakhnvi

mah-e-nau parda-e-sahab mein hai

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
māh-e-nau parda-e-sahāb meñ hai
yā ki abrū koī naqāb meñ hai
rañgat us ruḳh kī gul ne paa.ī hai
aur pasīne kī bū gulāb meñ hai
aaj saaqī shikār khelegā
bat-e-mai kāñsa-e-sharāb meñ hai
tūl-e-roz-e-firāq kahtā hai
hashr kā roz kis hisāb meñ hai
sharbat-e-qand kī sī shīrīnī
dahan-e-yār ke luaab meñ hai
shaan se kuchh bigaḌ ga.ī shāyad
zulf-e-shab-rañg pech-o-tāb meñ hai
ho 'saḳhī' ko na fikr yā allāh
arz itnī terī janāb meñ hai
Top Urdushayar.com