Mushtaq Aazar Fareedi

diwana hun bikhre moti chunta hun

Mushtaq Aazar Fareedi

dīvāna huuñ bikhre motī chuntā huuñ
lamha lamha joḌ ke sadiyāñ buntā huuñ
tanhā kamre suunā āñgan raat udaas
phir bhī ghar meñ sargoshī sī suntā huuñ
mujh ko dīmak chaaT rahī hai sochoñ kī
maiñ apne andar hī andar ghuntā huuñ
hañste phuul kahāñ haiñ merī qismat meñ
maiñ to bas murjhā.ī kaliyāñ chuntā huuñ
kahne ko ḳhāmosh hai merī zaat magar
sunte ko to sab kī bāteñ suntā huuñ
'āzar' ik mauhūm sī hai ummīd abhī
jis ke sahāre ḳhvāb sunahre buntā huuñ
Top Urdushayar.com