Mushtaq Aazar Fareedi

tere jahan se alag ek jahan chahta hun

Mushtaq Aazar Fareedi

tire jahāñ se alag ik jahān chāhtā huuñ
na.ī zamīn nayā āsmān chāhtā huuñ
badan kī qaid se bāhar to jā nahīñ saktā
isī hisār meñ rah kar uḌaan chāhtā huuñ
ḳhamosh rahne pe ab dam sā ghuTne lagtā hai
mire ḳhudā maiñ dahan meñ zabān chāhtā huuñ
koī shajar hī sahī dhuup se najāt to ho
ye tum se kis ne kahā sā.ebān chāhtā huuñ
ye TukḌā TukḌā zamīneñ na kar atā mujh ko
maiñ puure sahn kā puurā makān chāhtā huuñ
phir ek baar mirī ahmiyat ko lauTā de
tirī nigāh ko phir mehrbān chāhtā huuñ
mirī talab koī dushvār-kun nahīñ 'āzar'
isī zamīn pe hifz-o-amān chāhtā huuñ
Top Urdushayar.com