Hijr Nazim Ali Khan

kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha

Hijr Nazim Ali Khan

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1881-1914
kuchh mohabbat meñ ajab sheva-e-dil-dār rahā
mujh se inkār rahā ġhair se iqrār rahā
kuchh sarokār nahīñ jaan rahe yā na rahe
na rahā un se to phir kis se sarokār rahā
shab-e-ḳhalvat vahī hujjat vahī takrār rahī
vahī qissa vahī ġhussa vahī inkār rahā
tālib-e-dīd ko zālim ne ye likkhā ḳhat meñ
ab qayāmat pe mirā vāda-e-dīdār rahā
hāl-e-dil bazm meñ us shoḳh se ham kah na sake
lab-e-ḳhāmosh kī sūrat lab-e-iz.hār rahā
kuchh ḳhabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirī yaad meñ bedār rahā
ik nazar naza.a meñ dekhī thī kisī kī sūrat
muddatoñ qabr meñ bechain dil-e-zār rahā
dil hamārā thā hamārā thā hamārā lekin
un ke qaabū meñ rahā un kā taraf-dār rahā
umr hañs-khel ke is tarah guzārī ai 'hijr'
dost kā dost rahā yaar kā maiñ yaar rahā
Top Urdushayar.com