Hijr Nazim Ali Khan

wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega

Hijr Nazim Ali Khan

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1881-1914
vo shoḳh baam pe jab be-naqāb aa.egā
to māhtāb-e-falak ko hijāb aa.egā
ḳhabar na thī ki miTeñge javān hote hī
ajal kā bhes badal kar shabāb aa.egā
paḌegā aks jo saaqī kī chashm-e-maigūñ kā
nazar sharāb meñ jām-e-sharāb aa.egā
hazār haif ki sar nāma-bar kā aayā hai
samajh rahe the ki ḳhat kā javāb aa.egā
kalīm haañ dil-e-betāb ko sambhāle hue
sunā hai tuur pe vo be-naqāb aa.egā
jo aarzū hai hamārī vo kah to deñ lekin
ḳhayāl ye hai ki tum ko hijāb aa.egā
ye shoḳhiyāñ tirī is kam-sinī meñ ai zālim
qayāmat aa.egī jis din shabāb aa.egā
kabhī ye fikr ki vo yaad kyuuñ kareñge hameñ
kabhī ḳhayāl ki ḳhat kā javāb aa.egā
chalā hai 'hijr' siyahkār bazm-e-jānāñ ko
zalīl ho ke ye ḳhāna-ḳharāb aa.egā
Top Urdushayar.com