Hijr Nazim Ali Khan

wo ye kahte hain zamane ki tamanna main hun

Hijr Nazim Ali Khan

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1881-1914
vo ye kahte haiñ zamāne kī tamannā maiñ huuñ
kyā koī aur bhī aisā hai ki jaisā maiñ huuñ
apne bīmār-e-mohabbat kā mudāvā na huā
aur phir is pe ye daavā ki masīhā maiñ huuñ
aks se apne vo yuuñ kahte haiñ ā.īne meñ
aap achchhe haiñ magar aap se achchhā maiñ huuñ
kahte haiñ vasl meñ siine se lipaT kar mere
sach kaho dil tumheñ pyārā hai ki pyārā maiñ huuñ
vo satātā hai alag charḳh-e-sitam-gār alag
saikḌoñ dushman-e-jāñ haiñ mire tanhā maiñ huuñ
baḳht bargashta vo nārāz zamāna dushman
koī merā hai na ai 'hijr' kisī kā maiñ huuñ
Top Urdushayar.com