tum bhī nigāh meñ ho adū bhī nazar meñ hai
duniyā hamāre dīda-e-hasrat-nagar meñ hai
haañ jānte haiñ jaan kā ḳhvāhāñ tumhīñ ko ham
mālūm hai ki teġh tumhārī kamar meñ hai
kyā rashk hai ki ek kā hai ek mudda.ī
tum dil meñ ho to dard hamāre jigar meñ hai
go ġhair kī baġhal meñ sahī vo parī-jamāl
maiñ to yahī kahūñgā ki merī nazar meñ hai
donoñ ne dard-e-ishq ko taqsīm kar liyā
thoḌā sā dil meñ hai to zarā sā jigar meñ hai
maiñ bhī huuñ aaj maiñ ki bar aa.ī murād-e-dil
dil bhī hai aaj dil ki vo mehmān ghar meñ hai
mamnūn huuñ ḳhayāl kā apne shab-e-firāq
jo sāmne nazar ke nahīñ vo nazar meñ hai
dilbar ho ek tum ki hamārī nazar meñ ho
dil hai hamārā dil ki tumhārī nazar meñ hai
kahte haiñ jis ko dil mire pahlū meñ ab kahāñ
hai bhī to pā.emāl kisī rahguzar meñ hai
dekho to dekhte haiñ tumheñ kis nigāh se
hasrat hai jis kā naam hamārī nazar meñ hai
jis par paḌī pasīj gayā mom ho gayā
Duubī huī nigāh hamārī asar meñ hai
jachtā nahīñ nigāh meñ koī hasīñ bhī 'hijr'
jab se kisī kī chāñd sī sūrat nazar meñ hai