Hijr Nazim Ali Khan

shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha

Hijr Nazim Ali Khan

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1881-1914
shab-e-firāq kuchh aisā ḳhayāl-e-yār rahā
ki raat bhar dil-e-ġham-dīda be-qarār rahā
kahegī hashr ke din us kī rahmat-e-be-had
ki be-gunāh se achchhā gunāh-gār rahā
tirā ḳhayāl bhī kis darja shoḳh hai ai shoḳh
ki jitnī der rahā dil meñ be-qarār rahā
sharāb-e-ishq faqat ik zarā sī chakkhī thī
baḌā surūr ghuTā muddatoñ ḳhumār rahā
unheñ ġharaz unheñ matlab vo haal kyuuñ pūchheñ
balā se un kī agar koī be-qarār rahā
tumheñ kabhī na kabhī mar ke bhī dikhā dūñgā
jo zindagī ne vafā kī jo barqarār rahā
adā.eñ dekh chuke ā.īne meñ aap apnī
batā.iye to sahī dil par iḳhtiyār rahā
shab-e-visāl baḌe lutf se kaTī ai 'hijr'
tamām raat kisī ke gale kā haar rahā
Top Urdushayar.com