Hijr Nazim Ali Khan

sitam tir-e-nigah-e-dilruba tha

Hijr Nazim Ali Khan

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1881-1914
sitam tīr-e-nigāh-e-dilrubā thā
hamāre haq meñ paiġhām-e-qazā thā
huā achchhā ki vo ghar se na nikle
kise mālūm kis ke dil meñ kyā thā
mujhe vo yaad karte haiñ ye kah kar
ḳhudā baḳhshe nihāyat bā-vafā thā
ummīd-e-vasl kī hālat na pūchho
faqat ik aasrā hī aasrā thā
bahut achchhā huā vo le ga.e dil
baḌā ziddī nihāyat bevafā thā
nahīñ mālūm us kam-sin ko ye bhī
hamāre dil meñ kyā hai aur kyā thā
na pūchho jalva-gāh-e-nāz kā jamāl
har ik mahv-e-jamāl-e-dilrubā thā
sunā hai mai-kashī karne lagā 'hijr'
vo mard-e-bā-ḳhudā to pārsā thā
Top Urdushayar.com