Ghayas Mateen

aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga

Ghayas Mateen

aañkh kī putlī meñ sūraj sar meñ kuchh saudā ugā
pāniyoñ meñ surḳh paude dhuup meñ saayā ugā
āsmāñ kī bhiiḌ meñ to is liye sochā gayā
is zamīñ kī chhātiyoñ se nuur kā chashma ugā
niiñd meñ chalne kī aadat ḳhvāb meñ likhne kā fan
ek jaisī baat hai to ātish-e-naġhma ugā
maiñ ne apnī donoñ āñkhoñ meñ ugaa.e haiñ pahāḌ
terī āñkhoñ meñ samundar thā vahāñ sahrā ugā
sabza-e-begāna ban kar jī liyā to kyā jiyā
ḳhud ko bo kar is zamīñ se ik nayā chehrā ugā
dhuup jaise qahqahe haiñ ret jaisī baat hai
tū agar ġhavvās hai to ret meñ dariyā ugā
ye zamīñ būḌhī hai us ko piiTh se apnī utaar
āsmāñ ko jeb meñ rakh le na.ī duniyā kā ugā
ham to ḳhud iz.hār haiñ apne zamāne kā 'matīn'
bujh ga.e āvāz ke sho.ale nayā lahja ugā
Top Urdushayar.com