Ghayas Mateen

zamin ke sath falak ke safar mein hum bhi hain

Ghayas Mateen

zamīñ ke saath falak ke safar meñ ham bhī haiñ
qafas-nasīb sahī bāl-o-par meñ ham bhī haiñ
vahīñ se luuT ga.ī rāstoñ kī tanhā.ī
jahāñ pe us ne ye jaanā safar meñ ham bhī haiñ
to vo shajar jo sadā barg-o-bār detā hai
misāl-e-āb-e-nihāñ is shajar meñ ham bhī haiñ
jise kahīñ se samundar ne lā ke pheñk diyā
tumhāre saath ik aise hī ghar meñ ham bhī haiñ
kitāb the to paḌhe jā sake na duniyā se
lo ab charāġh hue rahguzar meñ ham bhī haiñ
ḳhayāl aag hai sho.ala hai fikr lau alfāz
ye sab hunar haiñ to phir is hunar meñ ham bhī haiñ
'matīn' shahar bhī sahrā-nazhād hai itnā
ki sañg-o-ḳhisht meñ dīvār-o-dar meñ ham bhī haiñ
Top Urdushayar.com