tumhārā rañg rañg-e-āsmāñ jaisā badaltā hai
kisī ko chāhne vaalā kahīñ itnā badaltā hai
sabā shabnam shafaq ruḳhsār gul mahtāb in sab kā
tumhārā naam letā huuñ to kyuuñ chehra badaltā hai
sabā guftār shīrīñ lab sitāra chashm haiñ to kyā
badalte ham bhī haiñ jab sāmne vaalā badaltā hai
kabhī jaatī nahīñ jañgal kī bū sandal ke paikar se
ki sūrat ke badalne se kahīñ rishta badaltā hai
ye shahr-e-be-sadā andar se shahr-e-ārzū niklā
dhuāñ har-dam yahāñ bujhte charāġhoñ kā badaltā hai
utarte vaqt paanī meñ zarā ye dekh lenā thā
ki andar beach meñ jā kar yahī dariyā badaltā hai
raho dīvār ke saa.e meñ lekin dekhte rahnā
hamesha ruḳh yahāñ dīvār kā saaya badaltā hai
suḳhan rasta lakīroñ se nahīñ lafzoñ se raushan hai
lakīreñ pīTne se bhī kabhī rasta badaltā hai
'matīn' aao chaleñ ḳheme kī jānib ik zarā so leñ
vo dekho sub.h kā taarā libās apnā badaltā hai