sūraj ko kyā pata hai kidhar dhuup chāhiye
āñgan baḌā hai apne bhī ghar dhuup chāhiye
ā.īne TuuT TuuT ke bikhre haiñ chār-sū
DhūñDeñge aks aks magar dhuup chāhiye
bhīge hue paroñ se to uḌne na pā.eñge
kāTūñ na un parindoñ ke par dhuup chāhiye
ham se darīda-pairahan-o-jāñ ke vāste
yāqūt chāhiye na guhar dhuup chāhiye
sūraj na jaane kaun sī vaadī meñ chhup gayā
aur chīḳhtī phire hai sahar dhuup chāhiye
ik niiñd hai ki aañkh se lag kar nikal ga.ī
ab raat kā tavīl safar dhuup chāhiye
paanī pe chāhe naqsh banā.e koī 'matīn'
kāġhaz pe maiñ banā.ūñ magar dhuup chāhiye