havā bahut tez chal rahī hai charāġh-e-jāñ phir bhī jal rahā hai
ye kaun hai jo hamāre pīchhe havā ke hamrāh chal rahā hai
gumāñ kī bastī meñ rahne vaalo zarā pahāḌī pe chaḌh ke dekho
udhar nadī hai vahīñ se shahr-e-yaqīñ kā rasta nikal rahā hai
sarāb-andar-sarāb tum ho charāġh-andar-charāġh ham haiñ
hamīñ se tārīkiyāñ haiñ ḳhā.if hamīñ se ḳhurshed jal rahā hai
hamāre bachche yahāñ raheñge to āñdhiyoñ meñ ghire raheñge
unheñ yahāñ se nikalnā hogā yahāñ kā manzar badal rahā hai
purānī qabroñ pe aaj kitne na.e makānoñ kī zindagī hai
jo aaj hai bas usī ko dekho vo bhuul jaao jo kal rahā hai
kisī ne shāne pe haath rakh kar jo naam pūchhā 'matīn' apnā
charāġh āñkhoñ meñ jal-bujhe haiñ vajūd saarā pighal rahā hai