Ghayas Mateen

jazire hon ki wo sahra hon KHwab hona hai

Ghayas Mateen

jazīre hoñ ki vo sahrā hoñ ḳhvāb honā hai
samundaroñ ko kisī din sarāb honā hai
savāl pūchhne vaalo tumheñ bhī āḳhir-e-kār
rahīn-e-minnat-e-bār-e-javāb honā hai
khañDar meñ baiTh ke rone kī ḳhū nahīñ jaatī
tumhārī aañkh pe shāyad azaab honā hai
vo zulmateñ jo ujāloñ ke ghar meñ rahtī haiñ
unheñ bhī misl-e-sahr be-naqāb honā hai
vo din jo niilī kitāboñ meñ band hai us ko
abhī to mere liye be-hijāb honā hai
abhī to ḳhvāhish-e-be-dast-o-pā salāmat hai
abhī kuchh aur ye ḳhāna-ḳharāb honā hai
ye shāḳh shāḳh parinde pukārte haiñ 'matīn'
hameñ to shāḳh se gir kar gulāb honā hai
Top Urdushayar.com