Ghayas Mateen

KHwab aankhon ki gali chhoD ke jaane nikle

Ghayas Mateen

ḳhvāb āñkhoñ kī galī chhoḌ ke jaane nikle
ham idhar niiñd kī dīvār girāne nikle
dhuul raste kā muqaddar hai to rasta kyā hai
bas yahī baat zamāne ko batāne nikle
jab pahāḌoñ se milī daad hunar kī apne
dāstāñ ham bhī samundar ko sunāne nikle
rañg se rañg judā hone kā manzar dekhā
tīrgī aur shafaq sirf bahāne nikle
jab samundar pe chale ham to ye sahrā chup the
ab pahāḌī pe khaḌe haiñ to bulāne nikle
āsmāñ jis kī zamīñ hai vo parinda huuñ maiñ
jaane kyuuñ log yahāñ daam bichhāne nikle
koī chehra na de āvāz kisī lau se 'matīn'
shaam hote hī charāġhoñ ko bujhāne nikle
Top Urdushayar.com