maiñ vo nahīñ ki zamāne se be-amal jā.ūñ
mizāj pūchh ke dār-o-rasan kā Tal jā.ūñ
vo aur hoñge jo haiñ aaj qaid-e-be-samtī
vahī hai samt meñ jis samt ko nikal jā.ūñ
fareb khā ke junūñ aql ke khilaunoñ se
ḳhudā vo vaqt na laa.e ki maiñ bahal jā.ūñ
mirā vajūd hai momī kahīñ na ho aisā
kisī kī yaad kī garmī se maiñ pighal jā.ūñ
jo chāhtā hai ki pastī meñ girte girte bachūñ
nazar kā apnī asā de ki maiñ sambhal jā.ūñ