Ibraheem Hosh

dair-o-haram mein dasht-o-bayaban-o-bagh mein

Ibraheem Hosh

Kolkata, West Bengal, India

1918-1988
dair-o-haram meñ dasht-o-bayābān-o-bāġh meñ
DhūñDo na mujh ko maiñ huuñ ḳhud apne surāġh meñ
haañ ai asīro ḳhair se ho kis surāġh meñ
khilte haiñ ab to phuul havā-bast baaġh meñ
is barf-zār meñ bhī jalātī hī jaatī hai
vo ik shabīh jo hai nihāñ dil ke daaġh meñ
rahtā hai ab zamīn pe vo āsmāñ-pasand
haañ vo ḳhajil thā jis se ḳhudā bhī dimāġh meñ
mumkin nahīñ ki ġhaar meñ dil ke utar sake
māñge kī raushnī hai tumhāre charāġh meñ
kyā qadr vo kareñge kisī ḳhush-navā kī 'hosh'
tafrīq kar sakeñ jo na qumrī-o-zāġh meñ
Top Urdushayar.com