dariyā meñ hai sarāb ajab ibtilā meñ huuñ
maiñ bhī husain hī kī tarah karbalā meñ huuñ
Tikte nahīñ kahīñ bhī qadam ārzūoñ ke
pheñkā hai jab se terī zamīñ ne ḳhalā meñ huuñ
āvāz kab se detā thā hirmāñ-nasīb dil
ab aa.ī hai to ġharq nashāt-e-balā meñ huuñ
kyā farz hai ki īsā-o-mariyam dikhā.ī de
maslūb dard chīḳhe ki maiñ ibtilā meñ huuñ
har lahza inhidām kā hai ḳhauf mujh ko 'hosh'
maiñ is dayār-e-shor-o-shar-e-zalzala meñ huuñ