dar-o-dīvār par saaya paḌā hai
havāoñ meñ namī kā zā.iqa hai
koī tūfān hai kachchā ghaḌā hai
nigāh-e-shauq manzil-āshnā hai
vahī kunj-e-qafas hai aur ham haiñ
vahī ummīd kā jaltā diyā hai
maiñ ā.īne meñ ḳhud ko khojtā huuñ
ye gaañv kab kā ḳhālī ho chukā hai
december kī kahānī aur kuchh thī
mire dil kā ujaḌnā hādisa hai
ġham-e-uqbā ġham-e-daurāñ ġham-e-dil
hameñ kitnā banāyā jā rahā hai
yahāñ insān bo.e jā rahe haiñ
ye jañgal is liye kaaTā gayā hai
qabīla qāfila qaidī qatāreñ
ye manzar shaam tak phailā huā hai
ye rasta duur tak jaatā hai 'rāhil'
hameñ pīchhe bhī muḌ kar dekhnā hai