aañkh kā manzar-nāma baañT liyā jaa.e
ya.anī ḳhvāb kā raqba baañT liyā jaa.e
ek charāġh ko mahram-e-rāz kiyā jaa.e
aur añdherā konā baañT liyā jaa.e
tere mere beach mizāj kā parda hai
kyā kahte ho parda baañT liyā jaa.e
baTvārā maqdūr huā to ghar hī kyuuñ
behtar hogā rasta baañT liyā jaa.e
yaar kitābeñ mujh ko khaa.e jaatī haiñ
sochtā huuñ ab kamra baañT liyā jaa.e