apnī āshufta tabī.at kā maza letā huuñ
kash lagātā huuñ aziyyat kā maza letā huuñ
aañkh bhī sāmne hone pe yaqīñ rakhtī hai
ḳhvāb-dar-ḳhvāb suhūlat kā maza letā huuñ
tū mire hisse kī vahshat kā maza letā hai
aur maiñ terī mashiyyat kā maza letā huuñ
chāñdnī sard havā phuul parinde ḳhushbū
rāt-bhar terī zarūrat kā maza letā huuñ
jhiil meñ aag lagātā huuñ baḌī fursat se
aur phir baiTh ke fursat kā maza letā huuñ
ḳhauf khātā huuñ kahīñ ḳhud se na uktā jā.ūñ
vaqt kī taaza rivāyat kā maza letā huuñ