be-amāñ shab kā dhuāñ Dar kī taraf khīñchtā hai
ek nādīda samundar kī taraf khīñchtā hai
dil kahīñ duur bahut duur nikal jaatā hai
vaqt tasvīr ke andar kī taraf khīñchtā hai
maiñ khurachtā huuñ hathelī se lakīroñ kā azaab
ik sitārā mujhe mehvar kī taraf khīñchtā hai
dasht-e-ehsās kī shiddat se nikalnā hai muhāl
dard biite hue manzar kī taraf khīñchtā hai
chand dhundlā.e ho.e aks haiñ pas-manzar meñ
ye koī ḳhvāb mujhe ghar kī taraf khīñchtā hai