Rahil Bukhari

mere hisse mein azal se koi ghar tha hi nahin

Rahil Bukhari

mere hisse meñ azal se koī ghar thā hī nahīñ
mujh se pahle koī āshufta-safar thā hī nahīñ
maiñ tirī yaad ke saa.e meñ basar kartā rahā
is ḳharābe meñ koī aur shajar thā hī nahīñ
koī dam koī ghaḌī ro diyā karte the miyāñ
terī furqat meñ qarīne kā hunar thā hī nahīñ
ek darvāza jahāñ nuur bichhā rahtā thā
ek āñgan ki jahāñ koī bashar thā hī nahīñ
ek tasvīr-e-tasavvur kī farāvānī thī
ik taḳhayyul ki zamāne se idhar thā hī nahīñ
is qadar dard ki bhartā hī na thā aah ye dil
is qadar ḳhauf ki phir koī bhī Dar thā hī nahīñ
Top Urdushayar.com