Rahil Bukhari

dil kitna farebi hai adakar na ho jae

Rahil Bukhari

dil kitnā farebī hai adākār na ho jaa.e
ye rauzan-dar-rauzan-e-dīvār na ho jaa.e
ik ḳhvāb tire vasl kī ḳhushbū se rachā ḳhvāb
ye ḳhvāb mujhe bā.is-e-āzār na ho jaa.e
ye hañste hue log ye mahke hue manzar
ye bhiiḌ kahīñ vāqif-e-asrār na ho jaa.e
dil hai kisī ummīd ke saa.e meñ farozāñ
yak-tarfa tasallī kā sazā-vār na ho jaa.e
ye vasvasa-e-kaun-o-makāñ hāsil-e-tashkīk
vo shaḳhs kahīñ mujh meñ giraftār na ho jaa.e
'rāhil' maiñ kisī shaam kā bujhtā huā sūraj
duniyā hī kahīñ merī azādār na ho jaa.e
Top Urdushayar.com