Rahil Bukhari

waqt ki dastaras se bahar hun

Rahil Bukhari

vaqt kī dastaras se bāhar huuñ
maiñ na.e qāfiye kā masdar huuñ
mujh ko is paar sochne vaale
maiñ tire sāmne kā manzar huuñ
ye abhī tak nahīñ khulā mujh par
ghar meñ hote hue bhī be-ghar huuñ
mujh ko āñkheñ pasand aatī haiñ
maiñ kisī shaam kā muqaddar huuñ
maiñ qalandar mizāj huuñ 'rāhil'
dasht kī ḳhāmushī kā maz.har huuñ
Top Urdushayar.com