zindagī kyā hai ek manzar hai
ret hai tishnagī hai kīkar hai
aap behad hasīn haiñ lekin
dil to yāqūt kā bhī patthar hai
ek tasvīr merī āñkhoñ kī
ek tasvīr meñ samundar hai
sāya-e-atifat meñ rahtā huuñ
ġham tirā rāhatoñ se baḌh kar hai
aap kyuuñ der se khaḌe haiñ yahāñ
aa.iye paas hī mirā ghar hai
kūcha-e-zāt meñ bhaTaktā huuñ
aap kā rāsta to az-bar hai
sansanī āhaToñ se pahle thī
ḳhauf ḳhāmoshiyoñ kā maz.har hai
ek tasvīr meñ jiye ham log
zindagī bhī ajiib manzar hai
maiñ sitārā-mizāj huuñ 'rāhil'
jāgnā hī mirā muqaddar hai